aaj  unheñ  dekh  liyā  bazm  meñ  farzānoñ  kī
ham  ne  tārīf  sunī  thī  tire  dīvānoñ  kī
dīda-var  silsial-e-ashk  samajhte  haiñ  jise
kahkashāñ  hai  mire  mahbūb  ke  ehsānoñ  kī
tum  ko  aanā  hai  to  aa  jaao  ujālā  hai  abhī
sham.eñ  raushan  haiñ  mire  ġham  ke  shabistānoñ  kī
mo'tariz  haiñ  mirī  dīvāna-vashī  par  vo  log
jin  ko  dāman  kī  ḳhabar  hai  na  garebānoñ  kī
ham  haiñ  mai-ḳhāna-e-fitrat  ke  sharābī  ham  ko
na  surāhī  kī  zarūrat  hai  na  paimānoñ  kī
hañs  rahe  ho  to  hañso  aur  hañso  ḳhuub  hañso
hālat-e-zār  pe  ham  be-sar-o-sāmānoñ  kī
ahd-e-hāzir  ke  na.e  'mīr'  vahāñ  hoñge  'habāb'
mujh  ko  mahfil  meñ  na  le  jaao  suḳhan-dānoñ  kī