tamām  raat  bujheñge  na  mere  ghar  ke  charāġh
ki  ye  charāġh  haiñ  ḳhūn-e-dil-o-jigar  ke  charāġh
in  āñsuoñ  ko  sitāre  salām  karte  haiñ
bujhā  sako  to  bujhā  do  ye  chashm-e-tar  ke  charāġh
huā  na  aisā  charāġhāñ  kabhī  sar-e-maqtal
hatheliyoñ  pe  haiñ  raushan  burīda-sar  ke  charāġh
unhīñ  pe  chalne  se  manzil  milegī  ham-safaro
ye  naqsh-e-pā  haiñ  kisī  ke  ki  rahguzar  ke  charāġh
is  anjuman  meñ  ujālā  rahegā  sadiyoñ  tak
jalā  rahā  huuñ  musalsal  dil-o-nazar  ke  charāġh
ye  lāl-qil.a  ye  dīvār-e-chīñ  ye  tāj-mahal
ye  sab  ke  sab  haiñ  jalā.e  hue  bashar  ke  charāġh
'habāb'  shahr-e-sabā  meñ  vo  qumqumoñ  kī  bahār
galī  galī  meñ  farozāñ  the  sīm-o-zar  ke  charāġh