ḳhush-nazar  hai  na  ḳhush-ḳhayāl  hai  ye
aaj  ke  dīda-var  kā  haal  hai  ye
tum  mire  dil  meñ  kyuuñ  nahīñ  aate
shahr-e-ra.anā.ī-e-jamāl  hai  ye
mere  chehre  pe  kuchh  nahīñ  tahrīr
sirf  unvān-e-arz-e-hāl  hai  ye
vaj.h-e-nākāmī-e-vafā  kyā  hai
aap  se  āḳhirī  savāl  hai  ye
chāhte  bhī  haiñ  chāhte  bhī  nahīñ
dostī  kī  na.ī  misāl  hai  ye
kaise  sulgheñge  kākul-e-daurāñ
kitnā  uljhā  huā  savāl  hai  ye
kaun  jaane  uruuj  kyā  hogā
aadmī  kā  agar  zavāl  hai  ye
DhūñDhtā  hai  na.ī  na.ī  uftād
dil-e-īzā-talab  kā  haal  hai  ye
is  zamāne  meñ  pāk-dāmānī
amr  mumkin  nahīñ  muhāl  hai  ye
ab  koī  aañkh  nam  nahīñ  hotī
dil  kī  duniyā  meñ  ḳhushk  saal  hai  ye