Kausar Niyazi

teri zulfen tere ruKHsar tere lab mere

Kausar Niyazi

Mianwali, Punjab, Pakistan

terī zulfeñ tire ruḳhsār tire lab mere

jitne pahlū haiñ tire husn ke vo sab mere

us se ab tark-e-mohabbat gila kyā ma.anī

mujh ko taslīm ki atvār the beDhab mere

phir vahī chāñd sar-e-shahr chaḌhe to ai kaash

us se raushan hoñ dar-o-bām bas ik shab mere

jin har lamha guzartā thā mirī qurbat meñ

duur o nazdīk nazar aate nahīñ ab mere

mujh se katrā ke guzar jaate haiñ derīna rafīq

rāste dekhte haiñ saḳht kaThin jab mere

ab agar khul ga.e ho to chalo yūñhī sahī

varna tum dost to pahle bhī rahe kab mere

kyuuñ mujhe shiddat-e-ehsās atā itnī

tujh se insāf tālib huuñ maiñ ai rab mere

ḳhalq sañg-zanī hai ye 'kausar' ehsān

tah meñ jis ke ga.e sab husn o qubah dab mere

Top Urdushayar.com