ghar  sulagtā  sā  hai  aur  jaltā  huā  sā  shahr  hai
zindagānī  ke  liye  ab  do-jahāñ  kā  qahr  hai
jaao  lekin  surḳh  sho.aloñ  ke  sivā  pāoge  kyā
sansanāte  dasht  meñ  kaalī  havā  kā  qahr  hai
dil  ye  kyā  jaane  ki  kyā  shai  hai  harārat  ḳhuun  kī
jism  kyā  samjhe  ki  kaisī  zindagī  kī  lahr  hai
ai  mohabbat  maiñ  tirī  betābiyoñ  ko  kyā  karūñ
baḌh  ke  chashm-e-yār  se  barham  mizāj-e-dahr  hai
bhar  rahā  huuñ  kis  sharāb-e-dard  se  jām-e-ġhazal
ruuh  meñ  kuchle  hue  jazbāt  kī  ik  nahr  hai
zindagī  se  bhaag  kar  'parkāsh'  maiñ  jā.ūñ  kahāñ
ghar  ke  bāhar  qahr  hai  aur  ghar  ke  andar  zahr  hai