Rasa Chughtai

tir jaise kaman ke aage

Rasa Chughtai

Jaipur, Rajasthan, India

1928-2018

tiir jaise kamān ke aage

maut kuḌel javān ke aage

bādshāh aur faqīr donoñ the

shahr meñ ik dukān ke aage

chalte chalte zamīn ruk ga.ī

nā-gahāñ ik makān ke aage

ham bhī apnā mujassama rakh aa.e

raat andhī chaTān ke aage

tasht-e-jāñ meñ sajā ke rakhnā thā

harf-e-dil mehmān ke aage

kyā ajab shaḳhs hai ki baiThā hai

dhuup meñ sā.ebān ke aage

ham kisī ko gavāh kyā karte

is khule āsmān ke aage

kab talak jhuuT bolte sāhib

is tarah ḳhāndān ke aage

kaun kahtā 'rasā' ḳhudā-lagtī

aise kāfir gumān ke aage

Top Urdushayar.com