ġhamoñ  ke  añdheroñ  meñ  ġharqāb  huuñ  maiñ
amāvas  kā  bikhrā  huā  ḳhvāb  huuñ  maiñ
mire  naam  se  hai  zamāne  ko  nafrat
ki  pyāle  meñ  hastī  ke  zahrāb  huuñ  maiñ
jamī  hai  umīdoñ  pe  hirmāñ  kī  kaa.ī
ki  sahrā  kā  ik  ḳhushk  tālāb  huuñ  maiñ
qalam-band  haiñ  jis  meñ  rūhoñ  ke  qisse
kitāb-e-zamāna  kā  vo  baab  huuñ  maiñ
paḌā  hai  jo  khaa.ī  meñ  tārīkiyoñ  kī
murādoñ  kā  vo  naḳhl-e-shādāb  huuñ  maiñ
tujhe  ziist  kī  har  ḳhushī  ho  mayassar
mirā  ġham  na  kar  shād-o-shādāb  huuñ  maiñ
ta.āruf  mirā  kyā  hai  pūchho  na  'parkāsh'
vafā  naam  hai  aur  nāyāb  huuñ  maiñ