Rasa Chughtai

mir-ji se agar iradat hai

Rasa Chughtai

Jaipur, Rajasthan, India

1928-2018
'mīr'-jī se agar irādat hai
qaul-e-'nāsiḳh' kī kyā zarūrat hai
kaun pūchhe ye 'mīr'-sāhib se
in dinoñ kyā junūñ kī sūrat hai
chāñd kis mah-jabīñ kā partav hai
raat kis zulf kī hikāyat hai
kyā havā-e-bahār taaza hai
kyā charāġh-e-sarā.e ibrat hai
zindagī kis shajar kā saaya hai
maut kis dasht kī masāfat hai
aag meñ kyā gul-e-ma.ānī haiñ
ḳhaak meñ kyā numū kī sūrat hai
kyā pas-e-parda-e-tavahhum hai
kyā sar-e-parda-e-haqīqat hai
is kahānī kā markazī kirdār
aadmī hai ki ādamiyyat hai
kāTtā huuñ pahāḌ se din raat
mas.ala ishq hai ki ujrat hai
phir mohabbat kā falsafa kyā hai
ye agar sab lahū kī vahshat hai
ek to jāñ-gusil hai tanhā.ī
is pe ham-sā.egī qayāmat hai
aur jaise use nahīñ ma.alūm
shahr meñ kyā hamārī izzat hai
us ne kaise samajh liyā ki mujhe
ḳhvāb meñ jāgne kī aadat hai
ghar se shāyad nikal paḌe vo bhī
aaj kuchh dhuup meñ tamāzat hai
ham yūñhī mubtalā se rahte haiñ
yā kisī aañkh kī muravvat hai
'mīr' bole suno 'rasā' mirzā
ishq to aaj bhī sadāqat hai
is jahān-e-buland-o-past ke biich
kuchh agar hai to apnā qāmat hai
Top Urdushayar.com