jaisā  tum  chāhoge  vaisā  nahīñ  hone  vaalā
varna  hone  ko  yahāñ  kyā  nahīñ  hone  vaalā
muqtadir  ho  to  ġharīboñ  se  jo  chāho  le  lo
izzat-e-nafs  kā  saudā  nahīñ  hone  vaalā
dil  ye  kahtā  hai  kisī  ko  bhī  na  lā  ḳhātir  meñ
aql  kahtī  hai  ki  achchhā  nahīñ  hone  vaalā
amn  parchār  talak  Thiik  sahī  lekin  amn
tum  ko  lagtā  hai  ki  hogā  nahīñ  hone  vaalā
zar  ke  mīzān  meñ  har  shaḳhs  ko  kyā  tolte  ho
har  bashar  to  sag-e-duniyā  nahīñ  hone  vaalā
merā  chehra  hai  mire  qalb  kā  akkās  'naqīb'
merā  chehra  tirā  chehra  nahīñ  hone  vaalā