phūlne-phalne  lage  haiñ  sāhab-e-zar  aur  bhī
tañg  ho  jā.egī  dhartī  muflisoñ  par  aur  bhī
ye  zamīñ  zarḳhez  hogī  ḳhuun  pī  kar  aur  bhī
khetiyāñ  uglā  kareñgī  la.al-o-gauhar  aur  bhī
har  zamāne  meñ  subūt-e-ishq  māñgā  jā.egā
laal  maaoñ  ke  chaḌheñge  sūliyoñ  par  aur  bhī
phūlte-phalte  haiñ  jazbe  dard  ke  māhaul  meñ
zaḳhm  khā.eñ  to  nikharte  haiñ  suḳhan-var  aur  bhī
āftāb  ubhrā  hai  jis  din  se  na.ī  tahzīb  kā
ho  gayā  tārīk  insāñ  kā  muqaddar  aur  bhī
jab  chalī  tahrīk  ta.amīr-e-vatan  kī  dosto
ho  ga.e  barbād  kuchh  baste  hue  ghar  aur  bhī
jis  qadar  bāhar  kī  raunaq  meñ  magan  hotā  gayā
baḌh  ga.ī  be-raunaqī  insāñ  ke  andar  aur  bhī
maiñ  banātā  jā  rahā  huuñ  aur  bhī  kuchh  aa.ine
vaqt  barsātā  chalā  jaatā  hai  patthar  aur  bhī
bastiyoñ  par  hādsoñ  kī  chāñd-mārī  ke  liye
baḌh  rahe  haiñ  auj  kī  jānib  sitamgar  aur  bhī
munfarid  ustād  'dānish'  bhī  haiñ  ġhālib  kī  tarah
yuuñ  to  duniyā  meñ  haiñ  'nāz'  achchhe  suḳhan-var  aur  bhī