dil  kā  har  zaḳhm  javāñ  ho  to  ġhazal  hotī  hai
dard  nas  nas  meñ  ravāñ  ho  to  ġhazal  hotī  hai
dil  meñ  ho  shauq-e-mulāqāt  kā  tūfān  bapā
aur  raste  meñ  chunāñ  ho  to  ġhazal  hotī  hai
shauq  hasrat  ke  sharāroñ  se  jilā  paatā  hai
jān-e-jāñ  dushman-e-jāñ  ho  to  ġhazal  hotī  hai
kuchh  bhī  hāsil  nahīñ  yak-tarfa  mohabbat  kā  janāb
un  kī  jānib  se  bhī  haañ  ho  to  ġhazal  hotī  hai
shaukat-e-fan  kī  qasam  husn-e-taḳhyyul  kī  qasam
dil  ke  ka.abe  meñ  azaañ  ho  to  ġhazal  hotī  hai
maiñ  agar  un  ke  ḳhad-o-ḳhāl  meñ  kho  jā.ūñ  kabhī
vo  kaheñ  naaz  kahāñ  ho  to  ġhazal  hotī  hai