pahle  jaisā  rañg-e-bām-o-dar  nahīñ  lagtā  mujhe
ab  to  apnā  ghar  bhī  apnā  ghar  nahīñ  lagtā  mujhe
lagtī  hogī  tujh  ko  bhī  merī  nazar  badlī  huī
terā  paikar  bhī  tirā  paikar  nahīñ  lagtā  mujhe
kyā  kahūñ  is  zulf  se  vābastagī  kā  fā.eda
ab  añdherī  raat  meñ  bhī  Dar  nahīñ  lagtā  mujhe
mujh  ko  zaḳhmī  kar  nahīñ  saktā  koī  dast-e-sitam
maiñ  nadī  kā  chāñd  huuñ  patthar  nahīñ  lagtā  mujhe
sunnat-e-shāh-e-umam  kā  huuñ  maiñ  lazzat-āshnā
ḳhaak  se  behtar  koī  bistar  nahīñ  lagtā  mujhe
jab  se  dastār-e-fazīlat  paa.ī  hai  darbār  meñ
jaane  kī  shānoñ  pe  apnā  sar  nahīñ  lagtā  mujhe
haiñ  suḳhnavar  'nāz'  achchhe  aur  bhī  is  daur  meñ
koī  'dānish'  kā  magar  ham-sar  nahīñ  lagtā  mujhe