Akbar Haidri

ek jal-thal thi kal tak ye zamin ye dasht bhi kal tak dariya the

Akbar Haidri

ik jal-thal thī kal tak ye zamīñ ye dasht bhī kal tak dariyā the

ye shor thā kal ik sannāTā ye shahar bhī kal tak sahrā the

āġhāz apnā vahshat basrī anjām apnā shorīda-sarī

ham aaj bhī haiñ badnām bahut ham kal bhī nihāyat rusvā the

tanhā.ī-e-zāt saaya hai tanhā.ī apnā virsa hai

ham aaj bhī haiñ tanhā tanhā ham kal bhī tanhā tanhā the

maazī ke ḳharāboñ meñ bhī kahīñ lau detā rahā sūraj apnā

maazī ke ḳharāboñ meñ bhī ham ik ḳhvāb-e-jahān-fardā the

apnā to hai shahkār-e-amal tahzīb ye zindāñ 'akbar'

ham aaj haiñ shahroñ ke qaidī kal tak āvāra-e-sahrā the

Top Urdushayar.com