fāsloñ  kī  barf  pighlegī  mujhe  ye  Dar  na  thā
is  se  pahle  lams  kā  sūraj  mire  sar  par  na  thā
dil  ke  darvāze  pe  dastak  de  rahā  thā  kaun  thā
ik  zarā  sochā  koī  chehra  koī  paikar  na  thā
aa.ine  kī  zid  thī  bāñTe  jaa.eñ  chehroñ  ke  nuqūsh
varna  maiñ  bhī  kāñch  kī  guḌiyoñ  kā  saudāgar  na  thā
zard  ThiThurī  dhuup  meñ  pahne  hue  uryāñ  badan
maiñ  ne  pahchānā  vo  dīvāna  na  thā  ḳhud-sar  na  thā
is  se  pahle  yā  to  'īraj'  ne  kabhī  dekhā  na  chāñd
yā  kabhī  is  tarah  pahle  chāñd  sho.ala-gar  na  thā