judā.ī  meñ  tirī  āñkhoñ  ko  jhiil  karte  hue
subūt  zaa.e.a  kiyā  hai  dalīl  karte  hue
maiñ  apne  aap  se  ḳhush  bhī  nahīñ  huuñ  jaane  kyoñ
so  ḳhush  huuñ  apne  hī  raste  tavīl  karte  hue
na  jaane  yaad  use  aayā  kyā  achānak  hī
gale  lagā  liyā  mujh  ko  zalīl  karte  hue
kahīñ  tirī  hī  tarah  ho  gayā  na  ho  ye  dil
so  Dar  rahā  huuñ  ab  us  ko  vakīl  karte  hue
thakan  safar  kī  to  mahsūs  hī  nahīñ  hotī
chalūñ  tumheñ  jo  sar-e-rāh  feel  karte  hue