din-rāt  us  ke  hijr  kā  dīmak  lage  lage
dil  ke  tamām  ḳhāne  mujhe  khokhle  lage
mahfil  meñ  naam  us  kā  pukārā  gayā  thā  aur
sab  log  the  ki  merī  taraf  dekhne  lage
afsos  fikr-e-jāñ  hī  nahīñ  rahtī  hai  hameñ
afsos  aap  jaan  hameñ  mānñe  lage
jo  kahte  the  koī  tujhe  Thukrā  na  pā.egā
jab  baat  ḳhud  pe  aa.ī  to  vo  sochne  lage
maiñ  aaj  tak  na  Thiik  se  ḳhud  ko  samajh  sakā
ik  hī  dafa  meñ  aap  mujhe  jānñe  lage