umr-bhar  siine  meñ  ik  dard  dabā.e  rakkhā
ek  be-nām  se  rishte  ko  nibhā.e  rakkhā
thā  mujhe  vahm-o-gumāñ  ki  vo  faqat  merī  hai
aur  us  ne  bhī  bharam  merā  banā.e  rakkhā
āñdhiyāñ  sharm  se  ho  jaa.eñ  na  paanī  paanī
sar  yahī  soch  ke  peḌoñ  ne  jhukā.e  rakkhā
vaise  har  baat  se  rakkhā  use  vāqif  ham  ne
lekin  afsāna-e-ulfat  ko  chhupā.e  rakkhā
ek  rishta  jise  maiñ  de  na  sakā  koī  naam
ek  rishta  jise  tā-umr  nibhā.e  rakkhā
kūza-gar  tujh  ko  banānā  hī  nahīñ  thā  jab  kuchh
kis  liye  chaak  pe  tā-umr  chaḌhā.e  rakkhā