dhuup  meñ  jalte  haiñ  tab  saaya  bantā  hai
baḌe  jatan  se  koī  apnā  bantā  hai
saare  bikhre  ḳhvāb  ikaTThā  karne  par
ek  mukammal  terā  chehra  bantā  hai
ghar  ke  donoñ  jānib  dar  lagvā.e  haiñ
ab  to  terā  dastak  denā  bantā  hai
pyaar  karo  to  ek  ḳharābī  ye  bhī  hai
had  darje  kā  yaar  tamāshā  bantā  hai
us  kā  pahlū  sirf  mayassar  hai  mujh  ko
ya.anī  merā  itnā  banñā  bantā  hai