ek  raat  lagtī  hai  ik  sahar  banāne  meñ
ham  ne  kyoñ  nahīñ  sochā  ham-safar  banāne  meñ
manzileñ  badalte  ho  par  tumheñ  nahīñ  mālūm
umreñ  biit  jaatī  haiñ  rahguzar  banāne  meñ
umr  bhar  rahā  ham  par  us  kā  hī  asar  haavī
be-asar  rahe  jis  par  ham  asar  banāne  meñ
mauj  meñ  banātā  huuñ  jism  jis  parinde  kā
ruuh  kaañp  uThtī  hai  us  ke  par  banāne  meñ
terī  yaad  kī  gaaḌī  kuchh  madad  kareñ  shāyad
is  tavīl  raste  ko  muḳhtasar  banāne  meñ