ḳhushbū  badan  kī  ḳhālī  samundar  havāoñ  ke
kyuuñ  chheḌte  haiñ  ham  ko  payambar  sadāoñ  ke
dekhī  na  jaa.e  ham  se  pareshāñ  barahnagī
chunte  haiñ  apne  jism  meñ  patthar  ridāoñ  ke
phir  buuñd  buuñd  Tapkī  hamāre  badan  se  dhuup
phir  aks  aks  bikhre  haiñ  manzar  fazāoñ  ke
ye  aur  baat  apnī  hī  tah  tak  na  jā  sake
utre  the  chāñd  par  bhī  shanāvar  ḳhalāoñ  ke
tapte  rahe  haiñ  ḳhāmushī  kā  zahr  umr-bhar
shāyad  vo  jānte  the  muqaddar  duāoñ  ke
'īraj'  sadā-e-rañg  mahakne  lagī  havā
qaus-e-quzah  ne  khol  diye  par  ghaTāoñ  ke