is  raaz  ko  kyā  jāneñ  sāhil  ke  tamāshā.ī
ham  Duub  ke  samjhe  haiñ  dariyā  tirī  gahrā.ī
jaag  ai  mire  ham-sāya  ḳhvāboñ  ke  tasalsul  se
dīvār  se  āñgan  meñ  ab  dhuup  utar  aa.ī
chalte  hue  bādal  ke  saa.e  ke  ta.āqub  meñ
ye  tishna-labī  mujh  ko  sahrāoñ  meñ  le  aa.ī
ye  jabr  bhī  dekhā  hai  tārīḳh  kī  nazroñ  ne
lamhoñ  ne  ḳhatā  kī  thī  sadiyoñ  ne  sazā  paa.ī
kyā  sāneha  yaad  aayā  'razmī'  kī  tabāhī  kā
kyuuñ  aap  kī  nāzuk  sī  āñkhoñ  meñ  namī  aa.ī