mas.ale  bhī  mire  hamrāh  chale  aate  haiñ
hausle  bhī  mire  hamrāh  chale  aate  haiñ
kuchh  na  kuchh  baat  mire  azm-e-safar  meñ  hai  zarūr
qāfile  bhī  mire  hamrāh  chale  aate  haiñ
jab  bhī  ai  dost  tirī  samt  baḌhātā  huuñ  qadam
fāsle  bhī  mire  hamrāh  chale  aate  haiñ
ġham  mire  saath  nikalte  haiñ  savere  ghar  se
din  Dhale  bhī  mire  hamrāh  chale  aate  haiñ
pā-bārhna  jo  guzartā  huuñ  tire  kūche  se
aable  bhī  mire  hamrāh  chale  aate  haiñ
mere  māhaul  meñ  har  samt  bure  log  nahīñ
kuchh  bhale  bhī  mire  hamrāh  chale  aate  haiñ
jab  bhī  kartā  hai  qabīla  mirā  hijrat  'razmī'
zalzale  bhī  mire  hamrāh  chale  aate  haiñ