yaad  ye  kis  kī  aa  ga.ī  zehn  kā  bojh  utar  gayā
saare  hī  ġham  bhulā  ga.ī  zehn  kā  bojh  utar  gayā
zindagī  kyā  hai  ġham  hai  kyā  sochte  sochte  yūñhī
mujh  ko  hañsī  jo  aa  ga.ī  zehn  kā  bojh  utar  gayā
shām-e-firāq  meñ  mujhe  tere  hī  ġham  ke  faiz  se
niind  achānak  aa  ga.ī  zehn  kā  bojh  utar  gayā
aaj  vafā  ke  saaz  par  kaun  ye  ibrat-e-suḳhan
merī  ġhazal  sunā  ga.ī  zehn  kā  bojh  utar  gayā
shiddat-e-rañj-o-yās  meñ  bhūlī  huī  koī  ḳhushī
itnā  mujhe  rulā  ga.ī  zehn  kā  bojh  utar  gayā
achchhā  huā  ki  dil  kī  baat  aaj  kisī  ke  rū-ba-rū
merī  zabāñ  tak  aa  ga.ī  zehn  kā  bojh  utar  gayā
ye  bhī  ḳhudā  kā  fazl  hai  merī  navā-e-zindagī
auroñ  ke  kaam  aa  ga.ī  zehn  kā  bojh  utar  gayā
kashmakash-e-hayāt  meñ  had  se  baḌhīñ  jo  uljhaneñ
aap  kī  yaad  aa  ga.ī  zehn  kā  bojh  utar  gayā
'razmī'-e-be-qarār  ko  ahl-e-ḳhulūs  kī  nazar
pyaar  se  jab  silā  ga.ī  zehn  kā  bojh  utar  gayā