farāz-e-dār  pe  ik  din  sajā  ke  dekh  hameñ
hamīñ  haiñ  ahl-e-vafā  aazmā  ke  dekh  hameñ
ham  ek  naqsh-e-mohabbat  haiñ  tere  dāman  par
miTā  sake  to  zamāne  miTā  ke  dekh  hameñ
hameñ  bujhā  ke  andheroñ  meñ  kyuuñ  bhaTaktā  hai
charāġh-e-rāh  the  ham  phir  jalā  ke  dekh  hameñ
tujhe  bhulāne  kā  vaada  to  kar  liyā  ham  ne
magar  ye  shart  hai  tū  bhī  bhulā  ke  dekh  hameñ
ham  ahl-e-fan  to  shagūfe  haiñ  rañg  o  nik.hat  ke
kisī  gulāb  kī  sūrat  ugā  ke  dekh  hameñ
rulā  ke  ham  ko  sunā  hai  ki  tū  bhī  rotā  hai
hamāre  sāmne  aa  phir  rulā  ke  dekh  hameñ
nazar  na  ā.eñge  ham  qahqahoñ  kī  mahfil  meñ
jo  dekhnā  hai  to  aañsū  bahā  ke  dekh  hameñ
hamāre  ḳhvāb-e-bahārāñ  kī  aabrū  rakh  le
kisī  kalī  kī  tarah  muskurā  ke  dekh  hameñ
har  ek  ġham  ko  isī  zid  meñ  bhuul  jā.ūñgā
vo  kah  rahe  haiñ  ki  'razmī'  bhulā  ke  dekh  hameñ