nākāmi-e-qismat  kā  gila  chhoḌ  diyā  hai
tadbīr  se  taqdīr  kā  ruḳh  moḌ  diyā  hai
vo  jurm  bhī  ik  azmat-e-kirdār  hai  jis  ne
TuuTā  huā  ik  rishta-e-dil  joḌ  diyā  hai
dil  Duub  chalā  āḳhir-e-shab  ḳhushk  haiñ  āñkheñ
aa  jā  ki  sitāroñ  ne  bhī  dam  toḌ  diyā  hai
bahte  hue  dekhe  haiñ  udhar  vaqt  ke  dhāre
ruḳh  ham  ne  irādoñ  kā  jidhar  moḌ  diyā  hai
fankār  kā  ehsās-e-ziyā-bār  thā  jis  meñ
hālāt  ne  vo  shīsh-mahal  toḌ  diyā  hai
andāz-e-ġhazal  aap  kā  kyā  ḳhuub  hai  'razmī'
mahsūs  ye  hotā  hai  qalam  toḌ  diyā  hai