abhī  ḳhāmosh  haiñ  sholoñ  kā  andāza  nahīñ  hotā
mirī  bastī  meñ  hañgāmoñ  kā  andāza  nahīñ  hotā
jidhar  mahsūs  ho  ḳhushbū  usī  jānib  baḌhe  jaao
añdherī  raat  meñ  rastoñ  kā  andāza  nahīñ  hotā
jo  sadiyoñ  kī  kasak  le  kar  guzar  jaate  haiñ  duniyā  se
mo.arriḳh  ko  bhī  un  lamhoñ  kā  andāza  nahīñ  hotā
ye  rahbar  haiñ  ki  rahzan  haiñ  masīhā  haiñ  ki  qātil  haiñ
hameñ  apne  numā.indoñ  kā  andāza  nahīñ  hotā
nazar  ho  laakh  gahrī  aur  basīrat-āshnā  phir  bhī
naqāboñ  meñ  kabhī  chehroñ  kā  andāza  nahīñ  hotā
zamīñ  par  aao  phir  dekho  hamārī  ahmiyat  kyā  hai
bulandī  se  kabhī  zarroñ  kā  andāza  nahīñ  hotā
vafāoñ  ke  tasalsul  se  bhī  aksar  TuuT  jaate  haiñ
mohabbat  ke  hasīñ  rishtoñ  kā  andāza  nahīñ  hotā
utar  jaate  haiñ  ruuh  o  dil  meñ  kitnī  vus.ateñ  le  kar
ġhazal  ke  dilrubā  lahjoñ  kā  andāza  nahīñ  hotā
salīqe  se  sajānā  ā.īnoñ  ko  varna  ai  'razmī'
ġhalat  ruḳh  ho  to  phir  chehroñ  kā  andāza  nahīñ  hotā