hujūm-e-ġham  meñ  kis  zinda-dilī  se
musalsal  kheltā  huuñ  zindagī  se
qarīb  aate  haiñ  lekin  be-ruḳhī  se
purāne  dost  bhī  haiñ  ajnabī  se
farishte  dam-ba-ḳhud  iblīs  hairāñ
tavaqqo  ye  kahāñ  thī  aadmī  se
nizām-e-asr-e-nau  ye  kah  rahā  hai
andhere  phailte  haiñ  raushnī  se
chale  aa.e  haram  se  mai-kade  meñ
pareshāñ  ho  ga.e  jab  zindagī  se
lagī  hai  aag  jab  se  gulistāñ  meñ
bahut  Darne  lagā  huuñ  raushnī  se
na  ho  jo  tarjumān-e-vaqt  'razmī'
bhalā  kyā  fā.eda  us  shā.irī  se