Muzaffar Razmi

KHud pukaregi jo manzil to Thahar jaunga

Muzaffar Razmi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1936-2012
ḳhud pukāregī jo manzil to Thahar jā.ūñgā
varna ḳhuddār musāfir huuñ guzar jā.ūñgā
āñdhiyoñ kā mujhe kyā ḳhauf maiñ patthar Thahrā
ret kā Dher nahīñ huuñ jo bikhar jā.ūñgā
zindagī apnī kitāboñ meñ chhupā le varna
tere aurāq ke mānind bikhar jā.ūñgā
maiñ huuñ ab tere ḳhayālāt kā ik aks-e-jamīl
ā.īna-ḳhāne se niklā to kidhar jā.ūñgā
mujh ko hālāt meñ uljhā huā rahne de yūñhī
maiñ tirī zulf nahīñ huuñ jo sañvar jā.ūñgā
tez-raftār sahī laakh mirā azm-e-safar
vaqt āvāz jo degā to Thahar jā.ūñgā
dam na lene kī qasam khaa.ī hai maiñ ne 'razmī'
mujh ko manzil bhī pukāre to guzar jā.ūñgā
Top Urdushayar.com