ridā-e-sañg  oḌh  kar  na  so  gayā  ho  kāñch  bhī
harīm-e-zaḳhm  lāzmī  hai  ḳhair-o-shar  kī  jāñch  bhī
ga.e  baras  kī  raakh  jis  ko  daan  kī  thī  aa  gayā
isī  nadī  se  ġhusl  kar  ke  do-hazār-pāñch  bhī
muhāvare  kī  rū  se  jāñchiye  to  vo  sarāb  hai
maiñ  sāñch  bhī  nahīñ  nahīñ  hai  is  badan  kī  aañch  bhī
bharam  zarā  sā  mastiyoñ  kā  rakh  ki  ham  haiñ  ghaat  meñ
ġhazāl-e-mast  chashm  ho  idhar  ko  ik  qalāñch  bhī