jis  tayaqqun  se  jo  likhnā  thā  nahīñ  likkhā  gayā
āsmāñ  kaaT  ke  miTTī  pe  zamīñ  likkhā  gayā
merī  peshānī  damaktī  hai  sitāroñ  se  sivā
tere  hāthoñ  se  jahāñ  harf-e-yaqīñ  likkhā  gayā
mauj-dar-mauj  samundar  se  mulāqāt  huī
ḳhvāb  ko  ḳhvāb  sar-e-sat.h-e-zamīñ  likhā  gayā
aks-dar-aks  jo  likhnā  thā  mujhe  us  kā  jamāl
ā.ina-ḳhāna-e-hairat  ke  ta.iiñ  likkhā  gayā
dekh  kar  us  ko  mire  hosh  Thikāne  na  rahe
ism  likhnā  thā  kahīñ  aur  kahīñ  likkhā  gayā
haañ  uThāyā  thā  qalam  karbalā  vāloñ  ke  liye
likhnā  chāhā  thā  magar  mujh  se  nahīñ  likkhā  gayā
donoñ  sarmast  haiñ  ehsās-e-suḳhan-sāzī  meñ
raushnī  aañkh  ko  aur  dil  ko  hazīñ  likkhā  gayā
yuuñ  to  safhāt  siyah  kartā  rahā  maiñ  'az.har'
chāhtā  thā  jo  mirā  shauq  nahīñ  likkhā  gayā