kaun  samjhegā  mire  ba.ad  ishāre  us  ke
TuuT  kar  ḳhaak  meñ  milte  haiñ  sitāre  us  ke
ab  hameñ  aañkh  uThā  kar  nahīñ  taktā  vo  shaḳhs
kitne  mazbūt  marāsim  the  hamāre  us  ke
jo  samundar  mire  atrāf  ravāñ  hai  sar-e-ḳhāk
DhūñDhtā  rahtā  huuñ  din-rāt  kināre  us  ke
us  kā  nuqsān  haqīqat  meñ  mirā  apnā  hai
mere  hisse  hī  meñ  aate  haiñ  ḳhasāre  us  ke
kitnī  āsānī  se  dekhā  thā  use  patthar  meñ
kitnī  mushkil  se  ḳhad-o-ḳhāl  sañvāre  us  ke
saut  meñ  jitnā  ḳhalā  hai  use  pur  kar  de  sadā
is  tasalsul  se  koī  naam  pukāre  us  ke
ḳhatm  ho  saktī  hai  'az.har'  ye  laḌā.ī  apnī
ab  bhī  kuchh  log  salāmat  haiñ  hamāre  us  ke