ḳhvāb  aur  ḳhvāb  kā  fusūñ  nahīñ  kuchh
aañkh  khul  jaa.e  to  junūñ  nahīñ  kuchh
husn  kahtā  hai  baat  kar  mujh  se
ishq  kahtā  hai  maiñ  kahūñ  nahīñ  kuchh
aur  kuchh  chāhiye  mohabbat  meñ
hālat-e-hāl-e-dil  zubūñ  nahīñ  kuchh
rā.egāñ  jā  rahe  haiñ  naqsh  mire
ā.ina-ḳhāna  hī  fuzūñ  nahīñ  kuchh
tū  bahut  ehtiyāt  kartā  thā
tere  hāthoñ  meñ  aaj  kyuuñ  nahīñ  kuchh
āsmāñ  yuuñ  bhī  ham  pe  girtā  hai
saqf  to  chhoḌiye  sutūñ  nahīñ  kuchh
us  ne  māthe  pe  hoñT  rakh  ke  kahā
aaj  ye  zaḳhm  nīlgūñ  nahīñ  kuchh
lauT  aatī  hai  vo  nazar  ḳhālī
kyā  mirī  zaat  ke  darūñ  nahīñ  kuchh
kaam  sar  par  paḌe  raheñ  'az.har'
aur  maiñ  baiThā  rahūñ  karūñ  nahīñ  kuchh