suḳhan  ko  be-hisī  kī  qaid  se  bāhar  nikālūñ
tumhārī  diid  kā  koī  nayā  manzar  nikālūñ
ye  be-masraf  sī  shai  har  gaam  aaḌe  aane  vaalī
anā  kī  keñchulī  ko  jism  se  bāhar  nikālūñ
tilismī  mārke  kahte  haiñ  ab  sar  ho  chuke  haiñ
zarā  zambīl  ke  kone  se  maiñ  bhī  sar  nikālūñ
lahū  mahkā  to  saarā  shahr  pāgal  ho  gayā  hai
maiñ  kis  saf  se  uThūñ  kis  ke  liye  ḳhanjar  nikālūñ
bas  ab  to  munjamid  zehnoñ  kī  'yāvar'  barf  pighle
kahāñ  tak  apnī  istedād  ke  jauhar  nikālūñ