raushnī  mere  charāġhoñ  kī  dharī  rahnā  thī
phir  bhī  sūraj  se  mirī  ham-safrī  rahnā  thī
mausam-e-dīd  meñ  ik  sabz-parī  kā  saaya
ab  gila  kyā  ki  tabī.at  to  harī  rahnā  thī
maiñ  ki  huuñ  ādam-e-āzaim  kī  rivāyat  kā  naqīb
merī  shoḳhī  sabab-e-dar-ba-darī  rahnā  thī
ḳhvāb  irfān-e-haqīqat  ke  tamannā.ī  the
zindagī  aur  mirī  rāhbarī  rahnā  thī
aaj  bhī  zaḳhm  hī  khilte  haiñ  sar-e-shāḳh-e-nihāl
naḳhl-e-ḳhvāhish  pe  vahī  be-samarī  rahnā  thī
sāz-o-sāmān-e-ta.ayyush  to  bahut  the  'yāvar'
apne  hisse  meñ  yahī  harf-garī  rahnā  thī