shahr-e-suḳhan  ajiib  ho  gayā  hai
nāqid  yahāñ  adiib  ho  gayā  hai
jhuuT  in  dinoñ  udaas  hai  ki  sach  bhī
parvarda-e-salīb  ho  gayā  hai
garmī  se  phir  badan  pighal  rahe  haiñ
shāyad  koī  qarīb  ho  gayā  hai
ābādiyoñ  meñ  Duub  kar  mirā  dil
jañgal  se  bhī  muhīb  ho  gayā  hai
kyā  kyā  gile  nahīñ  use  vatan  se
'yāvar'  kahāñ  ġharīb  ho  gayā  hai