mirī  duāoñ  kī  sab  naġhmagī  tamām  huī
sahar  to  ho  na  sakī  aur  phir  se  shaam  huī
khulā  jo  mujh  pe  sitam-gāh-e-vaqt  kā  manzar
to  mujh  pe  aish  o  tarab  jaisī  shai  harām  huī
mire  vajūd  kā  sahrā  jahāñ  meñ  phail  gayā
mire  junūñ  kī  nahūsat  zamīñ  ke  naam  huī
abhī  girī  mirī  dīvār-e-jism  aur  abhī
bisāt-e-dīda-o-dil  sair-gāh-e-ām  huī
tū  lā-makāñ  meñ  rahe  aur  maiñ  makāñ  meñ  asiir
ye  kyā  ki  mujh  pe  itā.at  tirī  harām  huī