al-amāñ  ki  sūraj  hai  merī  jaan  ke  pīchhe
aur  saañp  baiThā  hai  sā.ebān  ke  pīchhe
ḳhush-gavār  mausam  par  kāmyābiyāñ  mabnī
man-chalā  samundar  hai  bādbān  ke  pīchhe
ham  se  rah-navardoñ  ko  dasht  raas  kyā  aatā
āḳhirash  palaTnā  thā  ḳhaak  chhān  ke  pīchhe
chīḳh  al-madad  shāyad  dast-e-ġhaib  aa  jaa.e
noveloñ  ke  lashkar  haiñ  dāstān  ke  pīchhe
tiir  khā  ke  pahlū  meñ  maiñ  idhar  taḌaptā  thā
aur  merī  parchhā.īñ  thī  kamān  ke  pīchhe
muzmahil  na  ho  jaa.e  quvvatoñ  kī  tābānī
koī  chhup  ke  baiThā  hai  āsmān  ke  pīchhe
nāqid-o-halākū  meñ  rabt-e-ḳhās  hai  'yāvar'
kuchh  qalam-numā  ḳhanjar  haiñ  zabān  ke  pīchhe