duā  hī  vaj.h-e-karāmāt  thoḌī  hotī  hai
ġhazab  kī  dhuup  meñ  barsāt  thoḌī  hotī  hai
rah-e-vafā  kī  rivāyat  hai  sar  jhukā  rakhnā
bisāt-e-ishq  pe  ye  maat  thoḌī  hotī  hai
jo  apnā  naam  saf-e-mo'tabar  meñ  likhte  haiñ
ḳhud  un  se  apnī  mulāqāt  thoḌī  hotī  hai
bahut  se  raaz  diloñ  ke  diloñ  meñ  rahte  haiñ
use  batāne  kī  har  baat  thoḌī  hotī  hai
dil  o  nazar  meñ  jo  bas  jaa.e  dil-rubā  Thahre
ki  dilrubā.ī  koī  zaat  thoḌī  hotī  hai
'hijāb'  ahl-e-junūñ  meñ  shumār  hone  kī
asaas  izzat-e-sādāt  thoḌī  hotī  hai