yuuñ  terī  rahguzar  se  dīvāna-vār  guzre
kāñdhe  pe  apne  rakh  ke  apnā  mazār  guzre
baiThe  haiñ  rāste  meñ  dil  kā  khañDar  sajā  kar
shāyad  isī  taraf  se  ik  din  bahār  guzre
dār-o-rasan  se  dil  tak  sab  rāste  adhūre
jo  ek  baar  guzre  vo  bār-bār  guzre
bahtī  huī  ye  nadiyā  ghulte  hue  kināre
koī  to  paar  utre  koī  to  paar  guzre
masjid  ke  zer-e-sāya  baiThe  to  thak-thakā  kar
bolā  har  ik  mināra  tujh  se  hazār  guzre
qurbān  is  nazar  pe  mariyam  kī  sādgī  bhī
saa.e  se  jis  nazar  ke  sau  kirdgār  guzre
tū  ne  bhī  ham  ko  dekhā  ham  ne  bhī  tujh  ko  dekhā
tū  dil  hī  haar  guzrā  ham  jaan  haar  guzre