ayādat  hotī  jaatī  hai  ibādat  hotī  jaatī  hai
mire  marne  kī  dekho  sab  ko  aadat  hotī  jaatī  hai
namī  sī  aañkh  meñ  aur  hoñT  bhī  bhīge  hue  se  haiñ
ye  bhīgā-pan  hī  dekho  muskurāhaT  hotī  jaatī  hai
tere  qadmoñ  kī  aahaT  ko  ye  dil  hai  DhūñDtā  har  dam
har  ik  āvāz  par  ik  thartharāhaT  hotī  jaatī  hai
ye  kaisī  yaas  hai  rone  kī  bhī  aur  muskurāne  kī
ye  kaisā  dard  hai  ki  jhunjhunāhaT  hotī  jaatī  hai
kabhī  to  ḳhūb-sūrat  apnī  hī  āñkhoñ  meñ  aise  the
kisī  ġham-ḳhāna  se  goyā  mohabbat  hotī  jaatī  hai
ḳhud  hī  ko  tez  nāḳhūnoñ  se  haa.e  nochte  haiñ  ab
hameñ  allāh  ḳhud  se  kaisī  ulfat  hotī  jaatī  hai