tīrgī  meñ  jal  uThnā  chāñdnī  meñ  kho  jaanā
kis  tarah  huā  mumkin  pāniyoñ  pe  so  jaanā
umr-bhar  kī  chāhat  kā  ek  hī  sila  paayā
dard  ne  hameñ  samjhā  ham  ne  dard  ko  jaanā
ek  rañg  apnā  hai  rāt-rut  kī  chhāñv  meñ
chāñdnī  bhī  aa.egī  tum  bhī  aa  ke  ro  jaanā
bādaloñ  ke  saa.e  meñ  ye  to  un  kī  aadat  hai
jis  ke  sar  pe  sūraj  ho  us  ke  saath  ho  jaanā