chhoḌ  jaane  kī  vo  jur.at  bhī  nahīñ  kar  saktā
būḌhī  rasmoñ  se  baġhāvat  bhī  nahīñ  kar  saktā
tū  mirī  jaañ  hai  magar  hai  to  tavā.if  hī  naañ
maiñ  tirī  khul  ke  himāyat  bhī  nahīñ  kar  saktā
vo  jise  pūjte  ik  umr  guzārī  ham  ne
kyā  vo  ik  baar  ināyat  bhī  nahīñ  kar  saktā
dil  jo  bachcha  thā  bahut  shoḳh  tire  jaane  par
aise  sahmā  hai  sharārat  bhī  nahīñ  kar  saktā
ishq  karne  kā  mujhe  kahtī  hai  samjhāo  use
mujh  sā  mazdūr  mohabbat  bhī  nahīñ  kar  saktā
merī  mayyat  pe  kahāñ  vaqt  se  vo  pahuñchegā
jo  ki  bar-vaqt  ayādat  bhī  nahīñ  kar  saktā
āḳhirī  umr  meñ  maflūj  huā  baap  huuñ  maiñ
apne  bachchoñ  ko  nasīhat  bhī  nahīñ  kar  saktā