Haseebul Hasan

apni hasti ke kamalat se bahar nikle

Haseebul Hasan

Saharan Chatha, Punjab, Pakistan

1995
apnī hastī ke kamālāt se bāhar nikle
vo agar mere ḳhayālāt se bāhar nikle
dafn kar rakkhe the siine ke kisī kone meñ
raaz jo tere savālāt se bāhar nikle
ishq khā.egā nahīñ yaar ye va.ada hai mirā
us se kah do ki vo ḳhadshāt se bāhar nikle
us ke va.adoñ pe bhī kar leñge bharosa vo agar
shahr-e-kūfa ke mazāfāt se bāhar nikle
us kī āñkhoñ ne pukārā to gine tak na ga.e
riñd kitne hī ḳharābāt se bāhar nikle
aur bhī ḳhālī haiñ duniyā meñ Thikāne lākhoñ
us se kah do ki mirī zaat se bāhar nikle
Top Urdushayar.com