sabhī  mai-kash  tavāzun  kho  rahe  haiñ
ḳhudā  se  be-takalluf  ho  rahe  haiñ
kisī  kī  aañkh  banjar  ho  ga.ī  hai
kisī  ke  ashk  bartan  dho  rahe  haiñ
kahīñ  par  sog  vājib  ho  rahā  hai
kisī  ke  farz  puure  ho  rahe  haiñ
hameñ  dhoka  milā  dhoka  hī  deñge
jo  kaaTā  hai  vo  aage  bo  rahe  haiñ
bahut  parhez  bartā  jā  rahā  hai
mire  zaḳhmoñ  ko  nāḳhun  ro  rahe  haiñ