ik  taraf  pyaar  to  ik  samt  anā  rakkhī  hai
husn  vāloñ  ne  'hasan'  kaisī  sazā  rakkhī  hai
us  kī  yādoñ  ke  gulistāñ  ko  harā  rakhnā  hai
ik  nadī  aañkh  se  ashkoñ  kī  bahā  rakkhī  hai
raushnī  terī  bhī  vaq.at  hai  hamāre  dam  se
ham  añdheroñ  ne  tirī  shaan  baḌhā  rakkhī  hai
mujh  ko  hai  ilm  tū  rātoñ  meñ  kahāñ  jaatā  hai
āj-kal  maiñ  ne  sitāroñ  se  banā  rakkhī  hai
ḳhūn-e-sādāt  ne  miTTī  ko  fazīlat  baḳhshī
ḳhaak  meñ  bhī  mire  maulā  ne  shifā  rakkhī  hai
us  kī  ḳhvāhish  hai  añdheroñ  meñ  bhaTaktā  hī  rahūñ
maiñ  diyā  laayā  huuñ  aur  us  ne  havā  rakkhī  hai
itnā  qātil  bhī  nahīñ  husn  tirā  hosh  meñ  rah
in  chhichhoroñ  ne  to  be-par  kī  uḌā  rakkhī  hai
vasl  ke  lamhoñ  ko  mahsūr  kiyā  hai  sāhab
maiñ  ne  is  baar  ghaḌī  pīchhe  ghumā  rakkhī  hai
ḳhud  maze  se  maiñ  tumheñ  soch  rahā  huuñ  hamdam
aur  bistar  pe  faqat  niiñd  sulā  rakkhī  hai