samjhā  koī  bhī  chaal  na  us  chāl-bāz  kī
karte  rahe  bayāñ  sabhī  hoñToñ  kī  nāzukī
dar  par  ḳhudā  ke  khīñch  ke  laayā  thā  us  ko  ishq
kāfir  ko  paḌ  ga.ī  thī  zarūrat  namāz  kī
ham  ne  bhī  ḳhud  ke  qatl  meñ  chhoḌī  nahīñ  kasar
us  ne  bhī  dushmanoñ  se  bahut  sāz-bāz  kī
kānoñ  kī  kachchī  niklī  vo  dīvār  gaañv  kī
tash.hīr  kar  rahī  hai  faqīroñ  ke  raaz  kī
ḳhat  huuñ  maiñ  āḳhirī  kisī  'ānis-mūīn'  kā
tū  yaad  rahne  vaalī  ġhazal  hai  'farāz'  kī