na  pūchh  us  ne  hai  kyā  kuchh  kahā  mohabbat  ko
hamāre  sāmne  rusvā  kiyā  mohabbat  ko
hamāre  paas  duā  māñgne  kā  vaqt  nahīñ
ab  aap  aasrā  degā  ḳhudā  mohabbat  ko
tū  mujh  ko  chhoḌ  to  phir  is  tarah  se  chhoḌ  ki  maiñ
galī  galī  meñ  phirūñ  kostā  mohabbat  ko
ham  aise  log  hī  zehnī  marīz  hote  haiñ
jo  mānte  haiñ  baḌā  aasrā  mohabbat  ko
hamārī  aañkh  meñ  utre  haiñ  saat  rañg  ke  ḳhvāb
hamārā  haq  hai  ki  ham  deñ  duā  mohabbat  ko
tamām  log  use  zindagī  bulāte  the
kisī  kisī  ne  kahā  hādisa  mohabbat  ko
tumhāre  shahr  meñ  but  the  so  kaam  aa  na  sake
daraḳht  hote  to  dete  havā  mohabbat  ko
hamāre  ba.ad  koī  sar-parast  mil  na  sakā
yatīm-ḳhāne  meñ  rakkhā  gayā  mohabbat  ko
'hasīb'  us  se  yahī  soch  kar  nahīñ  milte
kahāñ  vo  rakkhegā  ġhurbat-zada  mohabbat  ko