ab  ke  bikhrā  to  maiñ  yakjā  nahīñ  ho  pā.ūñgā
tere  hāthoñ  se  bhī  vaisā  nahīñ  ho  pā.ūñgā
mujh  ko  bīmār  karegī  tirī  aadat  ik  din
aur  phir  tujh  se  bhī  achchhā  nahīñ  ho  pā.ūñgā
ye  to  mumkin  hai  ki  ho  jā.ūñ  tirā  ḳhair-andesh
haañ  magar  is  se  ziyāda  nahīñ  ho  pā.ūñgā
ab  mirī  zaat  meñ  bas  ek  kī  gunjā.ish  hai
maiñ  huā  dhuup  to  saaya  nahīñ  ho  pā.ūñgā
yuuñ  to  mushkil  hī  bahut  hai  mirā  haath  aanā  aur
haath  aayā  to  gavāra  nahīñ  ho  pā.ūñgā
tū  baḌī  der  se  aayā  mujhe  zinda  karne
ab  namī  pā  ke  bhī  sabza  nahīñ  ho  pā.ūñgā
mujh  meñ  itnī  nahīñ  tāsīr  masīhā.ī  kī
zaḳhm  bhar  saktā  huuñ  iisā  nahīñ  ho  pā.ūñgā
in  dinoñ  aql  kī  chaltī  hai  hukūmat  dil  pe
maiñ  jo  chāhūñ  bhī  tumhārā  nahīñ  ho  pā.ūñgā
itnā  ābād  hai  tujh  se  mire  andar  kā  shahr
tujh  se  bichhḌā  bhī  to  sahrā  nahīñ  ho  pā.ūñgā