Bashir Mehtaab

suhane sapne aae hain

Bashir Mehtaab

Ramban, Jammu and Kashmir, India

1994
suhāne sapne aa.e haiñ
lubhāne sapne aa.e haiñ
mujhe manzil kī dāvat hai
bulāne sapne aa.e haiñ
mirī bedār āñkhoñ ko
sajāne sapne aa.e haiñ
maiñ ik muddat se soyā thā
jagāne sapne aa.e haiñ
mujhe paane tum aa.e ho
gañvāne sapne aa.e haiñ
ye sapne jā nahīñ sakte
churāne sapne aa.e haiñ
ye armāñ phir se toḌeñge
dikhāne sapne aa.e haiñ
nayā sā khel hai koī
purāne sapne aa.e haiñ
mujhe to āḳhirī dam tak
hañsāne sapne aa.e haiñ
ajab 'mahtāb' āñkhoñ ke
divāne sapne aa.e haiñ
Top Urdushayar.com