jo  azal  hī  se  muqaffal  hai  vo  ghar  kholegā
aaj  vo  mere  liye  sātvāñ  dar  kholegā
DhūñDhtā  hai  jo  bahar-gām  na.ī  raah  yahāñ
vo  musāfir  bhī  kabhī  raḳht-e-safar  kholegā
sabz  pattoñ  kī  qabā  kis  ne  hai  chhīnī  us  se
ik-na-ik  roz  ye  uqda  to  shajar  kholegā
us  kī  qismat  pe  sabhī  rashk  to  karte  haiñ  magar
kitne  paanī  meñ  sadaf  hai  ye  guhar  kholegā
ek  muddat  se  jo  baiThā  hai  simaT  kar  ḳhud  meñ
vo  parinda  bhī  havā  dekh  ke  par  kholegā
mom  kī  tarah  pighal  jā.eñge  patthar  kitne
ek  fankār  jahāñ  dast-e-hunar  kholegā
rāz-e-hastī  bhī  kisī  roz  yahāñ  par  'naushād'
dekhnā  mujh  sā  koī  ḳhāk-basar  kholegā